X
Home » Charu Creation Fashion Fabric Store Blogs » Velvet Fabric || Fabric of Romance || How To Buy Velvet Cloth ( In Hindi )

Velvet Fabric || Fabric of Romance || How To Buy Velvet Cloth ( In Hindi )

Velvet Fabrics

scroll down for video

Kya aap ek Fashion Designer hain joh ladies key luxurious evening wear, romantic evening dresses bananey key liye fabric dhoond rahe hain? Agar haan, toh yeh video anth tak avashaye dekhein. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, aaj is video me hum baat karengey fabric of Romance ki, yaani Velvet ki. Stunning Womenswear, adbhut mahilaon ke kapdey bananey key liye bahut famous, atti prasidh Velvet fabric womanly curves ko accentuate karta hai, artharth shareer key angon ko ubhar kar pradarshit karta hai. Velvet key wonderful characteristics, Velvet ki kamaal ki visheshtain jaise attractive softness, mann ko moh lene waali komalta, amazing smoothness, gazab ka chikna sparsh evam shiny look, chamakdaar satah ek saadharan manushya key lag bhag sabhi senses ko attract karti hain, lag bhag sabhi indriyon ko aakarshit karti hain. Aur issi kaaran Velvet ko Fabric of Romance kaha jaata hai.

Gazab ki drape waala Velvet fabric, Poori duniya mein sabse soft artharth sabse narm aur sabse smooth artharth sabse chikney fabrics me se ek hai. Apney issi luxurious characteristics, aaleeshaan visheshataon ki vajah sey Velvet fabric Bahut lambey samay se Royalty (Rajasi Gaurav) aur Aristocracy artharth kuleen tantra ka prateek raha hai. Kissi fiber, kissi reshey key bajaay, Velvet shabd uss process ko refer karta hai, uss prakriya ko suchit karta hai jiss prakriya sey yeh fibers ek saath structure karey gaye hain, ek saath sanrachit karey gaye hain.

Mitron, Velvet ka nirmaan ek special loom, ek vishesh karghey, double cloth loom par hota hai. Yeh loom, fabric ki 2 layers ko, kapdey ki do paraton ko ek saath weave karta hai, ek saath bunnta hai. Baad mein, inn 2 layers ko, 2 paraton ko beech me sey baraabari sey kaat diya jaata hai. Aur yeh do Katey hue fabric pieces, do barabari mein katey hue kapde key tukde velvet fabric key 2 running material hotey hain. Mitron, velvet ki upari satah par katey hue dhaagey, katey hue threads evenly distributed hotey hain, samaan roop se vitrit hotey hain.

Yeh katey hue dhaagey ek soft dense pile ko, mulayam saghan dher ko janam detey hain. Issi pile, issi dher key kaaran softness, komalta ka doosra naam velvet hai, artarth makhmal hai. Paaram parik roop se Velvet ka nirman silk fiber, resham key reshey se hota aa raha hai parantu aaj key samay mein bazaar mein Cotton, Viscose, Linen, Wool, Polyester Velvet aur inn sab fibers key blends, inn sab reshon key mishran sey banney Velvet fabrics bhi saralta se uplabdh hain.

Mitron, bhinn bhinn reshon, different fibers sey nirmit Velvet fabrics key atirikt, alag alag designs key Velvet Fabrics bhi baazar may uplabdh hain. Pehla Prakaar hai: Crushed Velvet- Velvet ko ghumakar yah geelay Velvet fabric ko dabakar, pressure dekar fabric may crushed appearance layi jaati hai. Doosra Prakaar hai Burntout Velvet Ka: Iss prakaar key Velvet fabric mein different patterns bananey ke liye, vibhinn aakritiyaan bananey ke liye kuchh bhaag ko pile-free kiya jaata hai, dher mukt kiya jaata hai. Teesra Prakaar hai Embossed Velvet ka: Iss prakaar mein fabric par decorative designs ko, vibhinn prakaar ki sajawati aakritiyon ko emboss yah Heat Stamp artarth taap key saaath mudrankit kiya jaata hai.

Rajasthani band galey key nirmaan mein Embossed Velvet fabric ka badi maatra me prayog hota hai. Iss fabric ka home decor artharth greh sajawat ki vastuein jaise curtains (pardey), cushions aur pillows (takiye), bedsheets aur blankets (chaadrein aur kambal) key nirman mein bharpoor prayoog hota hai. Chautha prakaar hai Stretch Velvet fabric- Iss prakaar key velvet mein, spandex ya kahein lycra key fibers, reshey mishrit kiye jaate hain taaki stretchy quality aur flexibility, khichanv waali gunvatta aur lacheelapan pradaan karein ja sakey. Shareer key curves ko accentuate karney key liye artharth curves ko ubharna key liye, body hug karney key liye, shareer key saath chipkaney key liye Stretch Velvet fabric ideal hai, aadarsh hai. Jumpsuits bananey key liye yeh ek bahut achha option, ek bahut achha vikalp hai.

Panchwa prakaar hai Lyons Velvet ka- is prakaar ka Velvet anay kismon kee tulana mein adhik dense, adhik saghan hota hai aur zayaada stiff( kathor) hota hai. Outerwear artharth upar sey pehneney waaley kapdey aur vastuon jaise ki coats aur hats key nirman key liye Lyons Velvet ko shresth vikalp maana gaya hai. In mukhye prakaaron key atirikt bhi kayi aur prakaar hain udharanta Pile on Pile Velvet, Panne Velvet, Nacre Velvet, Chiffon Velvet itiyadi. Mitron, ab baat karte hain ki aap kaunsey Garments, kaunsey vastra aur kaunsey home decor, greh sajawat ki vastuein kiss fiber, kiss reshey sey nirmit Velvet sey bana sakte hain.

Agar aap evening dresses, wedding gowns aur formal wear banana chahatey hain toh aap Silk Velvet ka prayoog kar saktey hain. Silk velvet jaadui roop se chamakdaar, Narm aur mulayam hota hai. Silk Velvet ka drape bhi bahut shaandaar hai. Silk velvet se banni lingerie, luxury ka symbol hai, luxury ka prateek hai. Yadi silk velvet aapkey budget sey baahar hai toh aap Viscose Velvet yah Polyester Velvet ka bhi prayoog kar saktey hain. Polyester Velvet ki khaas baat hai ki yeh mildew resistant hota hai artharth phaphoondee pratirodhee hota hai.

Sabse sasta honey key parinaam swaroop, Polyester Velvet ka prayog har prakaar key garments, outerwear, lingerie aur home decor items key nirmaan mein sabse adhik hota hai. Yadi aap outerwear jaise jackets, coats, trousers ityaadi banana chahatey hain toh cotton velvet ka prayog kar sakte hain. Doosrey Kismon ke tulna me cotton velvet ka drape kam hai parantu yeh soft, mulayam hone ke saath saath bahut hi sturdy, bahut hi mazboot fabric hai. Yadi aap accessories jaise hats nirmit karna chahate hain toh Wool Velvet ek aacha vikalp hai. Agar aap vintage look waale curtains, Pardey banana chahatey hain toh linen velvet aapki sahayta kar sakta hai. Mitron, ab baat kartey hain Velvet ki Wash and Care- Dekhbhaal key baarey mein.

Velvet ek luxury fabric hai jiski dekhbhaal uchit roop se kee jaani chahiye. Textile Experts, Kapdey key visheshegyon key anusaaar Velvet fabric ko dry clean karna chahiye. Istree karney key isthaan par Velvet fabric ko steam press karein. Jahaan tak storage ka sambandh hai, yaad rakhein ki lambey samay tak mudey reheney key paarinaam swaroop Velvet fabrics mein crease artharth shikan aa sakti hai. Ho sakey toh Velvet se baney garments ko flat yaani sapaat rakhen.

Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Velvet fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link par click kare. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comments me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.

0
  • You cannot add "Multicolor Check Print on Cotton Yarn Dyed formal dress material fabric" to the cart because the product is out of stock.
0
Your Cart
Your cart is emptyReturn to Shop