X

scroll down for video

“Winters mein, sardiyon mein iss fabric ki banni Shirts bahut trend mein rehti hain”. Namaskar Mitron, main hoon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me. Mitron, iss video me hum vistaar mein baat karengey Cordruoy fabric ki. Toh sabse pehla prashan, kya hai yeh Cordruoy fabric? Cordruoy fabric ek durable aur ridged fabric hai, tikau aur ubhaar waala kapda hai, jiska nirmaan different fibers, alag alag prakaar key reshon jaise cotton, polyester, wool, spandex ya in sab fibers key blends, inn sab reshon key mishran se kiya jaata hai. Halanki sabse adhik maatra mein cordruoy fabric ka nirmaan cotton fiber, cotton key reshey sey hi kiya jaata hai. Cordruoy fabric apney unique ridged pattern key liye bahut famous hai, apney adviteey ubhaar waaley pattern ke liye prasidh hai.

Cordruoy fabric ka nirmaan 3 seperate yarns ko saath mein weave kar key kiya jaata hai, 3 alag alag sooton ko ek saath bun key kiya jaata hai. Pehle 2 yarns ko, pehle do sooton ko plain weave ya twill weave me bunna jaata hai aur phir teesrey yarn ko iss plain yah twill weave backing key upar dheeley dhang sey, loosely filling direction mein, weft direction mein weave kiya jaata hai. Yeh teesra yarn 4 yah 4 sey adhik warp yarns ke upar se float karta hai. Iss teesrey yarn ki, jissey cut-pile yarn bhi kaha jaata hai, baad mein cutting, brushing aur singeing ki jaati hai. Singeing ka arth hai ki yarns ko, sooton ko taap dwaara jhulsaaya jaata hai. Iss teesrey yarn ki poori prakriya key kaaran hi fabric par vertical ribs yah kahein wales ka nirmaan hota hai. Yeh Wales Selvedge key parallel, samaanantar chalti hain. Yeh wales Cordruoy fabric ki pehchaan hai.

Agar cordruoy ki backing plain weave ki hai toh ussey “tabbyback cordruoy” kaha jaata hai aur agar backing twill weave ki hai toh ussey “Genoa-back Cordruoy” kaha jaata hai. Haalanki Genoa-back Cordruoy zayaada durable, adhik tikau hoti hai parantu bazaar mei uplabdh adhikaansh Cordruoy tabbyback cordruoy hai. Mitron aagey badney sey pehle main aapko yeh soochna dena chahta hoon ki ab aap hamarey fabrics Charu Creation ki Mobile App Key madhyam sey bhi order kar saktey hain. Google Playstore sey Charu Creation ki Mobile App download karney key liye nichey description me diye gaye link par click karein. Mitron waapis laut tey hain Cordruoy ki taraf aur ab baat kartey hain vistaar mein Cordruoy fabric ki wales Key baarey mein joh ki iss fabric ka ek bahut mehtavpurn pehloo hai.

Jaisa ki maine pehle hi bataaya, Cut-pile yarn ki poori prakriya key kaaran nirmit ridges ko, ubhaaron ko Wales yah Cords kaha jaata hai. Cut-pile yarn ko jitney adhik warp yarns key upar se float karaaya jayega, utni adhik Wale ki width, utni adhik Wale ki chaudayii hogi aur utna kamm Corduoy fabric ka Wale number hoga. Per inch Cordruoy fabric ki length mein available Wales ko, prati inch Cordruoy fabric ki lambaayi mein upsathith Wales ko Cordruoy fabric ka Wale number kaha jaata hai. Agar kissi Cordruoy fabric ka Wale number bada hai toh iska Arth hai ki per inch mein Wales zayaada hongi aur Wales ki width kam hogi aur agar Wale number chota hai toh per inch mein Wales kamm hongi aur Wales ki width, wales ki chaudayi adhik hogi. Adhikansh taur pey Wale number key anusaar hi Cordruoy fabric ka classification, vargikaran kiya jaata hai. Standard Corduroy fabric ka Wale number 11-12 hota hai. Iska arth hai ki 1 inch Corduroy fabric ki length mein 11-12 Wales hain. Skirts, jackets, aur trousers ka nirmaan karney key liye standard Corduroy ka adhikansh taur pey upyog hota hai.

Standard Corduroy ko partridge cord yah constitution cord key naam sey bhi pukaara jaata hai. Agar kissi Corduroy ka Wale number 1.5 sey lekar 6 tak ka hai toh ussey Elephant Cord yah jumbo corduroy yah wide-wale corduroy kaha jaata hai. Iss prakaar ki Corduroy mein Wales bahut hi thick, bahut hi moti hoti hain. Elephant Cord ka adhiktam prayog coats, outerwear garments, pants aur upholstery key nirmaan mein hota hai. Agla prakaar hai Pinwale Corduroy. Yeh Elephant Cord ka totally opposite hai, bilkul vipreet hai. Iss Corduroy fabric mein bahut patli wales hoti hain. Iss Corduroy ka wale number 21 tak ka ho sakta hai. Issey needle cord key naam sey bhi pukaara jaata hai. Iss  prakaar ki Corduroy Soft dresses, vests, blouses key nirmaan key liye adhik upyukt hoti hain. Shirts ka nirmaan karney ke liye bhi pinwale Cordruoy ka hi prayog hota hai.

Winters mein, sardiyon mein Pinwale Cordruoy ki banni Shirts bahut trend mein rehti hain. Mitron, wale number classified Cordruoy, Wale number vargikrit Cordruoy key atirikt bhi kuch anay prakaar ki Cordruoy bazaar mein bahut prachalit hai. Pehla Udhaaran, Spandex Cordruoy: Spandex ko Cotton, yah polyester yah wool key saath blend karkey, mishrit karkey spandex cordruoy ka Nirmaan kiya jaata hai. Children’s garments, bachon key vastra nirmit karney key liye spandex cordruoy ka badi maatra mein prayog hota hai. Doosra Udhaaran: Bedford Cord- Bedford Cord ek american fabric hai. Jahan Cordruoy fabric mein teesrey yarn ko properly cut kara jaata hai, uchit roop sey kaat diya jaata hai, wahin Bedford Cord mein teesrey yarn ko kaata nahi jaata, uncut hi chod diya jaata hai.

Parinaam swaroop, bedford cord ki wales yah kahein ridges cordruoy ki wales ki tulna mein less prominent, kam pramukh hoti hain. Pants vishesh roop sey Chinos bananey key liye Bedford Cord ka prayog kiya jaata hai. Mitron, Cordruoy fabric key saath bahut hi creatively, bahut hi rachnatmak tareekey sey kaam kiya ja sakta hai. Kissi bhi corduroy sey banney garment mein aap irresistible contrast aur texture paida kar saktey hain. Kaise? Udharantah, Corduroy shirt key alag alag elements jaise ki collar, cuffs, side-front yah back piece ko bananey ke liye agar Corduroy fabric ko cross grain cut karengey toh corduroy fabric ki horizontal ribs yah Horizontal wales aayengi aur agar corduroy fabric ko bias kaata jayega toh diagonal lines aayengi. Mitron, ek aur soochna aapkey liye bahut mehtavpoorn hai. Mitron, aapko Nap yah Napping key concept, nap key siddhant key baarey mein jaankari honi chahiye.

Napping ek fabric finishing process hai jismey fabric key loose fibers ko, loose reshon ko bahar ki taraf kheechan jaata hai, raise kiya jaata hai taaki ek soft mat of fiber ban sakey. Iss soft mat of fiber ko nap kaha jaata hai. Ab Nap bananey ki prakriya key doraan hi fibers ko kissi ek disha mein, kissi ek direction mein brush kar diya jaata hai. Jiss disha mein fibers ko brush kiya gaya hai, uss disha ko nap running down direction kehte hain. Iski veepreet disha ko nap running up direction kehte hain. Agar aap apna haath Cordruoy fabric ki nap running down direction mein pheyrenge toh corduroy fabric smooth, chikna mehsoos hoga. Saath hi saath nap running down direction mein dekhney sey Cordruoy fabric shiny aur chamakdaar dikhta hai. Wahin doosri aur, nap running up direction mein haath pherney sey corduroy fabric rough, khurdura mehsoos hota hai. Saath hi saath Nap running up direction mein dekhney sey cordruoy fabric dull aur dark dikhta hai, mand dikhta hai.

Skirts aur pants zayaada attractive, adhik aakarshak prateet hoti hain agar inhe nap running down direction me cut kiye gaye corduroy fabric sey nirmit kiya jaaye. Wahin doosri aur nap running up direction me cut kiye gaye corduroy fabric se nirmit coats, jackets aur blouses adhik aakarshak prateet hotey hain. Mitron, ab baat kartey hain kuchh fun facts ki, cordruoy fabric ko lekar kuchh rochak tatheyon ki. Kuchh fabric historians, kucch Kapdey key itihaaskaaron ka manana hai ki Corduroy shabd ka avishkaar tab hua jab British factory workers ney “Duroy” namak woolen fabric par “Cords” banayi, “Ridges” banayi. Jabki kucch itihaaskaaron ka manana hai ki Corduroy shabd French term “Corde du Roi” se preyrit hai, jiska arth hota hai Cloth of the King, Raja ka kapda. Doosra fun fact, shuruaati daur, lag bhag 1910 isswi, ki gadiyon key seat covers Corduroy fabric key banay hotey thay. Teesra Rochak tathya, First World War, pratham vishwa yudh key dooran, infantry soldiers Ki uniform, Paidal sena ki vardi Corduroy fabric ki banni hoti thi.

Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka abhaar prakat karta hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products, banaye gaye utpaad aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge. Cordruoy fabrics ki collection dekhne ke liye, nichey description me diye gaye link par click karein. Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. Mitron, aap agla video kiss vishay, kiss topic par dekhna chahengey, hummey comment box me likhkar avashey batayein. Dhanyawaad, aapka din shubh ho.

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop