X

scroll down for video

Bollywood se lekar Hollywood tak, shhadiyon se lekar fashion shows tak, Delhi se lekar Paris tak, ******* fabric se banne garments har lady key wardrobe ki, har strii ki almirah ki shaan hain.

Namaskar Mitron, main hon aapka Mitr, Tushar, Charu Creation Pvt Ltd se jo ki ek Fashion Fabric company hai Nehru Place, New Delhi me.

Mitron, Chiffon ek bahut hi lokpriya, sajaavatee (decorative), halka phulka (lightweight) fabric hai jisse aksar elegance (hindi mein kahein toh lavanya) aur luxury (manney vilaas) ke saath joda jaata hai.Shimmery appearance, arthath chamkila aakar aur sheer appearance manney paardarshee aakar kay kaaran Chiffon fabric ka naata fashion aur design se saadiyon puraana hai.

Toh aakhir yeh chiffon fabric hai kya?

Chiffon ek weaving effect hai, ek bunai ka prabhaav hai jiske kaaran lightweight, halke plain weave fabric mein thodi shine arthath thodi chamak key saath saath halki sikuran aa jaati hai. Issi sikuran key kaaran, chiffon fabric ka sparsh rukha prateet hota hai, chiffon fabric ki touch rough feel hoti hai.

Angrezi key akshar S kay aakar mein ek dhaage ko, ek soot ho counter clockwise disha mein moda jaata hai aur doosre dhaage ko, doosre soot ko angrezi kay akshar Z kay aakar mein clockwise disha mein mod jaata hai. Aur phir inn 2 viprit dishaon mein mudey hue dhaagon ko plain weave mein ek saath buneney se, weave karne se nirman hota hai chiffon fabric ka. Chiffon shabd francici bhasha, french language key shabd chiffo se nilkla hai jiska arth hai kapda ya kapde ka tukda.

Aarambh mein, shuruaat mein, kareeb kareeb 1700 iswi mein poore Europe mein kewal silk yarns say, kewal resham kay dhaago say hi chiffon fabric ka nirman hota tha jiske kaaran chiffon bahut mehenga fabric tha aur samaj ka aameer varg hi iska prayog kar paata tha.

Silk se banna hua Chiffon fabric samaj key uchh varg ki status symbol tha, pratishtha ka prateek tha, status symbol tha. Aagey chalkar 1938 mein Nylon Chiffon fabric ka aur 1958 mein Polyester Chiffon fabric ka avishkaar hua. Yeh doono hi fabric bahut saaste thay aur issi kaaran common people, sadharan jan manas key liye saralta se uplabdh hone lagey. Aaj key samay mein toh cotton aur rayon key dhaagon se nirmit Chiffon bhi bazaar mein uplabdh hai.

Chamakdaar aur paardarshee aakaar key saath saath, apni vishesh banavat kay kaaran, chiffon mazboot aur stretchy artharth lacheela fabric bhi hai. Poore vishwa mein Chiffon fabric apni draping effect key liye prasidh hai. Aur issi kaaranvash, evening gowns banane key liye sabse appropriate option maana jaata hai, sabse uttam vikalp maana jaata hai. Chiffon ki saree ka toh kya kehna. Itni popular, itni prasidh hui hai Chiffon ki Saree ki Poori duniya mein Chiffon ki Saree ko Bollywood Ka synonymous, preyayevaachee maana jaata hai. Scarves, Dupattas, Blouses key saath saath Lingerie bananey key liye bhi Chiffon fabric ka badi maatra mein prayog hota hai.

Chiffon key baney parde, curtains light ki intensity ko, roshni ki teevrta ko, kam karte hue Kamre mein halki, meethi dhoop laane ka bhi prayojan uttam prakaar se karte hain. 

Mitron, iss video ko dekhne ke liye main aap sabhi ka bahut bahut abhaari hoon. Main aasha karte hoon ki hamare fabrics se banaye huye products aapke jeevan me sakaraatmak urja, positive energy ko badaayenge.

Chiffon fabrics ki collection dekhne ke liye, niche description me diye gaye link pe click kare.

Kissi bhi prakar ki fabrics ki jaankaari key liye aap humme +91-9971106200 par call kar sakte hain ya charu@charu.org.in par email bhej sakte hai. 

0
    0
    Your Cart
    Your cart is emptyReturn to Shop